LaaHaula Wala Quwwata Illa Billa Hil Aliyyul Azeem say Mushkilaat Rafoo Chakkar
Allah Rabbul Izzat nay koe beemari aisi naazil nahin farmaaee jis ki shifa na utaari ho. Isi tarah her mushkil aur preshani kay khatmay kay liye Allah Taala say rujoo kerna matlooba maqsad main kaamyaabi ka bayais hai. Quran e Kareem ke tamaam ayaat e mubarika aonay under asar rakhti hain. Ahaadees e Mubarika ki roshni main jin kalimaat e mubarika kay khwaas o asraat ka pata chalta hai, wo kalimaat her mushkil, preshani, museebat (Problems) aur beemari say nijjat kay zaman main perhnay per apna fori asar dikhaatay hain. In kalimaat e mubarika ka wird karnay say boht see muraadain bhe poori hoti hain. Aur Allah Rabb ul Izzat apna khasoosi fazl o karam naazil fermaata hai.
Buzurgaan e deen nay Quran e Hakeem say her tarah ka istafaada hasil kiya hai. Quran e Hakeem ki Ayaat e mubarika ko perhanay kay nateejay main jo khwas o asraat murattib hotay hain unki tehqeeq ker kay jo jo nafa bakhsh asraat hain Muslims ki behtri aur faiday kay liye biyan kr diye jo seena ba seena aur laa taadaad kutab kay mukhtalif goshon ki zeenat banay howay hain.
Isi hawaalay say LaaHaula Wala Quwwata Illa Billa Hil Aliyyul Azeem kay wazaif, amliyaat aur taaweezat ko iss application main paish kernay ki saadat haasil ki jaa rahi hai. In this application, LaaHaula Wala Quwwata Illa Billa ko mukhtalif auqaat aur a'adaad kay mutaabiq perhnay kay wazaif o aa'maal ka biyaan kiya gya hai aur boht he moassar taweezat ko is app ki zeenat banaya gya hai.
Aik Hadees e Mubarika main aat hain kay Huzoor Aqa e Do Alam Hazrat Muhammad S.A.W nay Irshaad fermaya:
"Allah taala fermaatay hain kay jab mera banda mujhay yaad kerta hai aur mer yad main jab uske doono hont hilttay hain to oos waqt main uske saath hota hoon."
In this application, bohat saaray unwanaat shamil kiye gaye hain jin main say kuch yeh hain:
Jannat kay poday, aafaat o balliyaat say bachao, he haajat poori hoti hai, faraakhi e rizk kay liye, bukhar ka shafi ilaaj, Mushkil aasan ho jaye, Mian Biwi main mohabbat kay liye, qarz ki adaaigi kay liye, zehni preshani kay liye etc...
Iss ko perh kr ziyada say ziyada istafaada kren.